Fish Balls recipe

 Fish Balls recipe 


Trimmings:

    • Machhli (Fish) 500 gram
    • Anda (Egg) 1
    • Safaid mirch pisi hui (White pepper powder) 1 tsp 
    • Namak (Salt) hasbe zaiqa
    • Shimla mirch (Capsicum) 1
    • Gaajar (Carrot) half
    • Kala zaitoon (Black olive) 10 gram
    • Badam (Almond) 5 gram
    • Pista (Pistachio) 5 gram
    • Parsley  5 gram
    • Zaitoon ka tail (Olive oil) 3 tbs
    • Hari mirch (Green chilli) 2
    • Makai ka aata (Corn flour) ½  cup
    • Maidah (Refined wheat flour) ½  cup
    • Double roti ka choora (Bread crumbs) 1 cup

Steps to make:

  • Sub se pehle aik grinder mein machli daal kar grind kar lein.
  • Phir is mein anda, safaid mirch powder, namak, sabz shimla mirch, gaajar, kala zaitoon, badam, pista, parsley, zaitoon ka tail aur sabz mirch daal kar mix kar len.
  • Ab is mein corn flour aur maidah daal kar mix kar lein aur tayyar kiye hue mixture ki balls bana lein.
  • Phir balls ko corn flour aur anday mein dip kar ke bread crumbs laga lein.
  • Ab tayyar ki hui balls ko tail mein deep fry kar len.
  • Mazedar fish balls tayyar hain.

No comments

Powered by Blogger.