Wednesday, January 3, 2024

Chow Mein recipe

 Chow Mein recipe 


Trimmings

    • Chicken boneless 500 gram

    • Kali mirch pisi hui (Black pepper powder) ¼ tsp

    • Namak (Salt) hasbe zaiqa

    • Soya sauce 1 tbs

    • Noodles ½  packet

    • Gaajar kati hui (Carrot) 1 cup

    • Band gobhi (Cabbage) 1 cup

    • Hari pyaz (Green onion) 1 cup

    • Shimla mirch (Capsicum) 1 cup

    • Lehsan (Garlic chopped) 1 tbs

    • Pyaz (Onion) 1 cup

    • Chow mien sauce ½ cup

    • Ketchup 1 cup

    • Chilli sauce 2 tbs

    • Kaali mirch (Black pepper) ½  tsp

    • Kuti laal mirch (Red chilli crushed) 1 tsp

    • Cheeni (Brown sugar) 1 tbs

    • Laal mirch pisi hui (Red chilli powder) 1 tsp

    • Safaid mirch pisi hui (White pepper powder) ½ tsp

    • Garam masalha (Spices mix powder) ¼ tsp

    • Namak (Salt) hasbe zaiqa

    • Tail (Oil) 4 tbs

Steps to make:

  • Sub se pehle dish mein chicken marination bananay ke liye aik bowl mein boneless chicken, kali mirch powder, namak, soya sauce, aik tbs tail daal kar achi tarhan mix kar lein.
  • Ab is mein chicken daal kar baara se pandrah minute marinate ke liye rakh dein.
  • Chow Mein sauce bananay ke liye aik bowll mein ketchup, soya sauce, chili sauce, kali mirch, kuti laal mirch, brown sugar, laal mirch powder, safaid mirch powder aur garam masalha powder daal kar achi tarhan mix kar lein chow mein sauce  tayyar hai.
  • Phir aik pan mein pani, aik khanay ka chamach tail aur noodles daal kar 80 feesad paknay tak ubaal lein.
  • Ab in noodles ko thanday pani mein achi tarhan chaan lein.
  • Chow Mein bananay ke liye aik bowl mein tail garam kar ke us mein lehsan daal kar aik minute bhoon lein.
  • Phir is mein marinate kiya hua chicken dalein aur do minute pakayein.
  • Ab is mein band gobhi aur gaajar daal kar taiz aanch par aik se do minute fry Karein.
  • Phir is mein Shimla mirch, pyaz aur chow mien sauce daal kar taiz aanch par mazeed do minute pakayein. (sabzion ko bohot ziada mat pakayein)
  • Aakhir mein ublay hue noodles aur hari pyaz daal kar achi tarhan mix kar lein, mazedar chow mien tayyar hai.

No comments:

Post a Comment