Wednesday, January 3, 2024

No Bake Chocolate Biscuit Cake

 No Bake Chocolate Biscuit Cake


Trimmings

Chocolate syrup banana ke liye ajza:

    • Cocoa powder ½ cup 

    • Cheeni (Sugar) 1 cup

    • Pani (Water) 2 cup

    • Vanilla essence 1 tsp

    • Makkhan (Butter) 4 tbs

    • Namak (Salt) 1 tsp

    • Digestive biscuits 3 cup

Chocolate ganache ke ajza:

    • Dark chocolate 1 cup

    • Cream 1 cup

Assembling ke ajza:

    • Chocolate biscuits 

    • Chocolate ganache  hasbe zaroorat

    • Chocolate frosting  hasbe zaroorat

    • Chocolate chips hasbe zaroorat

Steps to make:

  • Sub se pehle chocolate syrup bananay ke liye aik pan mein cocoa powder, cheeni, pani, namak aur vanilla essence daal kar achi tarhan mix Karein.
  • Phir  usay do se teen minute tak pakayein  aur makkhan daal kar gaarha honay tak pakayein.
  • Ab isay room ke darjae hararat par thanda honay dein.
  • Phir digestive biscuits ko baray tukron mein tor lein.
  • Ab tayyar kiye huay chocolate syrup ko biscuits mein mix Karein aur cake mold mein set Karein.
  • Phir is ko teen se char ghantay ke liye fridge mein rakhein.
  • Chocolate ganache bananay ke liye dark chocolate ko cream ke sath pighla kar aik minute ke liye microwave mein rakhein.
  • Ab is ko achi tarhan mix Karein jab tak ke chocolate cream mein achay se melt na ho jaye.
  • Ab cake ko ganache ke sath layer karein aur is ko aik se do ghantay ke liye fridge mein rakhein.
  • Assembling mein ab tayaar kiya hua cake lein, aur cake ke atraaf mein chocolate chips daal dein. 
  • Phir cake ko chocolate frosting se sajayein, No back chocolate cake tayyar hai.

No comments:

Comments System

Disqus Shortname

Powered by Blogger.