Friday, December 29, 2023

Grilled Fish

 Grilled Fish


Trimmings

  • Machli ke baray tukray (Fish large pieces) 2 
  • Dahi (Yogurt) 1 cup
  • Leemoo ka ras (Lemon juice) 2 tbs
  • Adrak, lehsan pisi hui (Ginger, garlic paste) 2 tbs
  • Tail (Oil) ½ cup
  • Peela khanay ka rang (Yellow food color)1 tsp
  • Namak (Salt) hasbe zaiqa
  • Surkh mirch pisi hui (Red chilli powder)1 tbs
  • Kuti laal mirch (Red chilli crushed) 1 tbs
  • Imli pisi hui (Tamarind paste) 1 tbs
  • Ajwain pisi hui (Corom seed powder )1 tsp
  • Garam masalha pisa hua(Spices mix powder) 1 tsp
  • Zeera pisa hua (Cumin powder) 1 tsp
  • Dhanya pisa hua (Coriander powder) 1 tsp
  • Chaat masalha (Snack spices)1 tbs
  • Sirka (Vinegar) ½ cup
  • Hildi pisi hui (Turmeric powder) 1 tsp


Steps to make


  • Sub se pehle aik bowl mein machli ko sirka, namak aur ajwain laga kar aik ghantay ke liye thanday pani mein bigho kar rakh dein.
  • Ab aik bowl mein dahi, leemoo ka ras, adrak, lehsan paste, peela khanay ka rang, namak, laal mirch powder, kuti mirch, imli paste, garam masalha powder, zeera powder, dhanya powder, chaat masalha aur haldi daal kar tamam ajza achi tarhan mix kar kay machli ko is mein teen ghantay ke liye mmarinette kar ke fridge mein rakh dein.
  • Ab machli ko achi tarhan pakanay tak grill kar lein.
  • Phir aik bowl mein dahi, imli paste, namak aur kuti hui laal mirch daal kar tamam ajza achi tarhan mix Karein
  • Mazedar grilled fish tayyar hai.

No comments:

Comments System

Disqus Shortname

Powered by Blogger.